Samay reth ki tarah jindagi ki muthise fisalta jata hai;
Ek ek jarra ek ansuni ,ankahi kahani darshata hai;
Mein apne majhi se milne ki koshish bhi puri nahi kar pati;
Aur mera aaj har bete pal ke sath mere majhi mein kho jata hai.
Ankhon mein hazaro sapne sajaye, Mein sunder bhavisye dhundne nikli thi ,
Kal, aaj aur kal se dur ek kone mein bhavisye khada muskura raha tha,
Maine pucha,'mera kal kaisa hoga?'bhavisye ne turanth jawab diya,
"tera aane wala kal ,tere aaj ka aaina hoga."
Yahi jindagi ki sacchai hai,
Aane wala har pal bete hue har pal ki kamai hai;
Har guzrta pal yahi sikhla jata hai,aane wale pal ko ji bhar ke ji le,
Kyunki ankh mechte hi yeh pal bhi kal mein sama jayega.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment